bahaana kar liya phir se haya ka | बहाना कर लिया फिर से हया का - Dinesh Kumar Drouna

bahaana kar liya phir se haya ka
karein kya aap ki zalim ada ka

ibadat kar rahein hain vo ki ya'ni
khuda bhi naam lete hain khuda ka

hamaari kashtiyaan hain baadbaani
humein karna padega kuch hawa ka

shareek-e-jurm hai munsif agar to
humein dar hi nahin koi saza ka

unhin ne maut failaai thi pehle
jinhen byopaar karna tha dava ka

bala hai vo bala haan theek hai par
koi to tod hoga is bala ka

hamaara hashr bhi sanjeedgi se
bahaana dhoondhta hai ibtida ka

sukhanvar bewafa ho laazmi hai
ta'alluq shaayri se kya wafa ka

बहाना कर लिया फिर से हया का
करें क्या आप की ज़ालिम अदा का

इबादत कर रहें हैं वो कि या'नी
ख़ुदा भी नाम लेते हैं ख़ुदा का

हमारी कश्तियाँ हैं बादबानी
हमें करना पड़ेगा कुछ हवा का

शरीक-ए-जुर्म है मुंसिफ़ अगर तो
हमें डर ही नहीं कोई सज़ा का

उन्हीं ने मौत फैलाई थी पहले
जिन्हें ब्योपार करना था दवा का

बला है वो बला हाँ ठीक है पर
कोई तो तोड़ होगा इस बला का

हमारा हश्र भी संजीदगी से
बहाना ढूँढता है इब्तिदा का

सुख़नवर बेवफ़ा हो लाज़मी है
तअ'ल्लुक़ शाइरी से क्या वफ़ा का

- Dinesh Kumar Drouna
0 Likes

Maut Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinesh Kumar Drouna

As you were reading Shayari by Dinesh Kumar Drouna

Similar Writers

our suggestion based on Dinesh Kumar Drouna

Similar Moods

As you were reading Maut Shayari Shayari