yun vahshat-e-junoon se bachaaya gaya mujhe | यूँ वहशत-ए-जुनूँ से बचाया गया मुझे - Dinesh Kumar Drouna

yun vahshat-e-junoon se bachaaya gaya mujhe
khilwat se door bheed mein laaya gaya mujhe

chashma hata ke shehar ghumaaya gaya mujhe
jo tha nahin vo sab bhi dikhaaya gaya mujhe

main tha buzurg ped sa aangan ke beech mein
so dekhta gaya jo dikhaaya gaya mujhe

ik haadse mein jal ke meri maut ho gai
main jal chuka tha phir bhi jalaya gaya mujhe

maqsad tha un ka lootna mujh ko jue mein so
pahle-pahl to yoonhi jataaya gaya mujhe

main tha charaagh aur mera mea'ar dekhne
suraj ki raushni mein jalaya gaya mujhe

यूँ वहशत-ए-जुनूँ से बचाया गया मुझे
ख़ल्वत से दूर भीड़ में लाया गया मुझे

चश्मा हटा के शहर घुमाया गया मुझे
जो था नहीं वो सब भी दिखाया गया मुझे

मैं था बुज़ुर्ग पेड़ सा आँगन के बीच में
सो देखता गया जो दिखाया गया मुझे

इक हादसे में जल के मिरी मौत हो गई
मैं जल चुका था फिर भी जलाया गया मुझे

मक़्सद था उन का लूटना मुझ को जुए में सो
पहले-पहल तो यूँही जताया गया मुझे

मैं था चराग़ और मिरा मेआ'र देखने
सूरज की रौशनी में जलाया गया मुझे

- Dinesh Kumar Drouna
0 Likes

Hadsa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinesh Kumar Drouna

As you were reading Shayari by Dinesh Kumar Drouna

Similar Writers

our suggestion based on Dinesh Kumar Drouna

Similar Moods

As you were reading Hadsa Shayari Shayari