shikaayat kis se hai kis baat ki hai | शिकायत किस से है किस बात की है - Dinesh Kumar Drouna

shikaayat kis se hai kis baat ki hai
kami koi nahin kya ye kami hai

nazar-andaaz kar ke ye mila hai
ki ab us ko mohabbat ho rahi hai

main ik dariya ka pyaasa tha magar ab
usi dariya ko meri tishnagi hai

safar mein neend mein daftar mein ghar mein
kisi ki har jagah maujoodgi hai

mera gham dhak liya hai qahqahon ne
ujaalon mein gazab ki teergi hai

khuda hone nahin deta hai mujh ko
mere andar ka vo jo aadmi hai

mohabbat ho ki ho nafrat kisi se
jagah dil mein barabar gherti hai

शिकायत किस से है किस बात की है
कमी कोई नहीं क्या ये कमी है

नज़र-अंदाज़ कर के ये मिला है
कि अब उस को मोहब्बत हो रही है

मैं इक दरिया का प्यासा था मगर अब
उसी दरिया को मेरी तिश्नगी है

सफ़र में नींद में दफ़्तर में घर में
किसी की हर जगह मौजूदगी है

मिरा ग़म ढक लिया है क़हक़हों ने
उजालों में ग़ज़ब की तीरगी है

ख़ुदा होने नहीं देता है मुझ को
मिरे अंदर का वो जो आदमी है

मोहब्बत हो कि हो नफ़रत किसी से
जगह दिल में बराबर घेरती है

- Dinesh Kumar Drouna
0 Likes

Safar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinesh Kumar Drouna

As you were reading Shayari by Dinesh Kumar Drouna

Similar Writers

our suggestion based on Dinesh Kumar Drouna

Similar Moods

As you were reading Safar Shayari Shayari