ek barsaat mein maidaan samundar hoga | एक बरसात में मैदान समुंदर होगा - Dinesh Kumar Drouna

ek barsaat mein maidaan samundar hoga
dard socha nahin tha soch se badh kar hoga

vo jo aayega mere paas maseeha ban kar
us ke haathon mein mere naam ka khanjar hoga

tez chalne se hai maqsood rawaani sun lo
thak ke jo baith gaya meel ka patthar hoga

laakh lete raho haathon ki talaashi mere
jo bhi andar hai mere zehan ke andar hoga

surkh aankhon ka kahaan rang hua karta hai
khoon mein lipate hue khwaab ka manzar hoga

jo gira dega mujhe taash ke patton ki tarah
meri ta'aamir mein tujh sa koi patthar hoga

एक बरसात में मैदान समुंदर होगा
दर्द सोचा नहीं था सोच से बढ़ कर होगा

वो जो आएगा मिरे पास मसीहा बन कर
उस के हाथों में मिरे नाम का ख़ंजर होगा

तेज़ चलने से है मक़्सूद रवानी सुन लो
थक के जो बैठ गया मील का पत्थर होगा

लाख लेते रहो हाथों की तलाशी मेरे
जो भी अंदर है मिरे ज़ेहन के अंदर होगा

सुर्ख़ आँखों का कहाँ रंग हुआ करता है
ख़ून में लिपटे हुए ख़्वाब का मंज़र होगा

जो गिरा देगा मुझे ताश के पत्तों की तरह
मेरी ता'मीर में तुझ सा कोई पत्थर होगा

- Dinesh Kumar Drouna
0 Likes

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dinesh Kumar Drouna

As you were reading Shayari by Dinesh Kumar Drouna

Similar Writers

our suggestion based on Dinesh Kumar Drouna

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari