bahut bura hoon meri jaan bahut bura hoon main | बहुत बुरा हूँ मिरी जाँ बहुत बुरा हूँ मैं

  - Dipak Prajapati Khaalis

bahut bura hoon meri jaan bahut bura hoon main
khuloos dekh mera khud ye kah raha hoon main

kuchh ik buraiyaan mujh mein azal se thehri hain
kuchh is zamaane mein aa kar bura hua hoon main

ye shaayri nahin dar-asl ek parda hai
baghair shor kiye jis mein cheekhta hoon main

agar kisi ko miloon to mujhe khabar kar de
pata chala hai ki kuchh din se gum-shuda hoon main

guzarte waqt ki aadat hai sab badal dena
jahaan kabhi main ziyaada tha ab zara hoon main

mujhe samajhna bhala sab ki dastaras mein kahaan
koi kahaani main thodi hoon falsafa hoon main

zara sa waqt hai phir waqt hi bataaega
ki sach mein kaun hoon kaisa hoon aur kya hoon main

बहुत बुरा हूँ मिरी जाँ बहुत बुरा हूँ मैं
ख़ुलूस देख मिरा ख़ुद ये कह रहा हूँ मैं

कुछ इक बुराइयाँ मुझ में अज़ल से ठहरी हैं
कुछ इस ज़माने में आ कर बुरा हुआ हूँ मैं

ये शाइरी नहीं दर-अस्ल एक पर्दा है
बग़ैर शोर किए जिस में चीख़ता हूँ मैं

अगर किसी को मिलूँ तो मुझे ख़बर कर दे
पता चला है कि कुछ दिन से गुम-शुदा हूँ मैं

गुज़रते वक़्त की आदत है सब बदल देना
जहाँ कभी मैं ज़ियादा था अब ज़रा हूँ मैं

मुझे समझना भला सब की दस्तरस में कहाँ
कोई कहानी मैं थोड़ी हूँ फ़ल्सफ़ा हूँ मैं

ज़रा सा वक़्त है फिर वक़्त ही बताएगा
कि सच में कौन हूँ कैसा हूँ और क्या हूँ मैं

  - Dipak Prajapati Khaalis

Aadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dipak Prajapati Khaalis

As you were reading Shayari by Dipak Prajapati Khaalis

Similar Writers

our suggestion based on Dipak Prajapati Khaalis

Similar Moods

As you were reading Aadat Shayari Shayari