us ki tasveer ko seene se lagata hi nahin | उस की तस्वीर को सीने से लगाता ही नहीं - Dipak Prajapati Khaalis

us ki tasveer ko seene se lagata hi nahin
haan main vo shakhs hoon jo ishq jataata hi nahin

us ko kab se hai tavakko ki bulaaunga main
main hi masroof hoon itna ki bulaata hi nahin

ek sach ye hai ki us ne hi kiya hai barbaad
ek ye bhi hai ki vo zehan se jaata hi nahin

mere kamre ki to aadat hai bikhar jaane ki
main yahi soch ke kamre ko sajaata hi nahin

khauf lagta hai mujhe raushni mein jaane se
shaam ke waqt bhi main sham'a jalata hi nahin

hijr ke baad se us ne na rachaai mehndi
main bhi ab jhat se koi phone uthaata hi nahin

उस की तस्वीर को सीने से लगाता ही नहीं
हाँ मैं वो शख़्स हूँ जो इश्क़ जताता ही नहीं

उस को कब से है तवक़्क़ो की बुलाऊँगा मैं
मैं ही मसरूफ़ हूँ इतना की बुलाता ही नहीं

एक सच ये है कि उस ने ही किया है बर्बाद
एक ये भी है कि वो ज़ेहन से जाता ही नहीं

मेरे कमरे की तो आदत है बिखर जाने की
मैं यही सोच के कमरे को सजाता ही नहीं

ख़ौफ़ लगता है मुझे रौशनी में जाने से
शाम के वक़्त भी मैं शम्अ' जलाता ही नहीं

हिज्र के बाद से उस ने न रचाई मेहंदी
मैं भी अब झट से कोई फ़ोन उठाता ही नहीं

- Dipak Prajapati Khaalis
0 Likes

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dipak Prajapati Khaalis

As you were reading Shayari by Dipak Prajapati Khaalis

Similar Writers

our suggestion based on Dipak Prajapati Khaalis

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari