apne jaison se dosti kar li
zindagi ham ne zindagi kar li
sau tariqe the khud-kushi ke magar
ham bhi paagal the aashiqi kar li
waqt aaya to rooth bhi baitheen
waqt aaya to baat bhi kar li
baagh ke haal ka taqaza tha
ek paude ne naukri kar li
paanv choo kar buzurgon ka ham ne
pal mein arson ki bandagi kar li
yaar karna tha kuchh alag ham ko
leak se hat ke shaay'ri kar li
अपने जैसों से दोस्ती कर ली
ज़िंदगी हम ने ज़िंदगी कर ली
सौ तरीक़े थे ख़ुद-कुशी के मगर
हम भी पागल थे आशिक़ी कर ली
वक़्त आया तो रूठ भी बैठें
वक़्त आया तो बात भी कर ली
बाग़ के हाल का तक़ाज़ा था
एक पौदे ने नौकरी कर ली
पाँव छू कर बुज़ुर्गों का हम ने
पल में अर्सों की बंदगी कर ली
यार करना था कुछ अलग हम को
लीक से हट के शाइ'री कर ली
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dipak Prajapati Khaalis
our suggestion based on Dipak Prajapati Khaalis
As you were reading Waqt Shayari Shayari