kisi ke muntazir rahna na darwaaza khula rakhna | किसी के मुंतज़िर रहना न दरवाज़ा खुला रखना - Dipak Prajapati Khaalis

kisi ke muntazir rahna na darwaaza khula rakhna
humein aaya nahin dil ko mohabbat mein laga rakhna

ye karb-o-dard hi dar-asl hai darkaar jeene mein
so in ko chahiye din-raat palkon pe saja rakhna

khuda jaane faqeeron mein ye fan kis tarah aata hai
koi bhi saanehaa guzre magar chehra khula rakhna

ameer-e-shahr ke logon mein ik ye bhi rivaayat hai
bahut maila badan rakhna bahut ujli qaba rakhna

gazab ka mashwara de kar hai vo ab tak gazab sha'ir
bade logon se milne mein hamesha fasla rakhna

mere saaye mere naqsh-e-qadam par mat chala kar tu
umeed-e-rahbari bhatke hue logon se kya rakhna

khafa rahne se is darja nikhaar aaya hai ghazalon mein
ki ab to chahta hoon umr bhar khud ko khafa rakhna

किसी के मुंतज़िर रहना न दरवाज़ा खुला रखना
हमें आया नहीं दिल को मोहब्बत में लगा रखना

ये कर्ब-ओ-दर्द ही दर-अस्ल है दरकार जीने में
सो इन को चाहिए दिन-रात पलकों पे सजा रखना

ख़ुदा जाने फ़क़ीरों में ये फ़न किस तरह आता है
कोई भी सानेहा गुज़रे मगर चेहरा खुला रखना

अमीर-ए-शहर के लोगों में इक ये भी रिवायत है
बहुत मैला बदन रखना बहुत उजली क़बा रखना

ग़ज़ब का मशवरा दे कर है वो अब तक ग़ज़ब शाइ'र
बड़े लोगों से मिलने में हमेशा फ़ासला रखना

मिरे साए मिरे नक़्श-ए-क़दम पर मत चला कर तू
उमीद-ए-रहबरी भटके हुए लोगों से क्या रखना

ख़फ़ा रहने से इस दर्जा निखार आया है ग़ज़लों में
कि अब तो चाहता हूँ उम्र भर ख़ुद को ख़फ़ा रखना

- Dipak Prajapati Khaalis
0 Likes

DP Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dipak Prajapati Khaalis

As you were reading Shayari by Dipak Prajapati Khaalis

Similar Writers

our suggestion based on Dipak Prajapati Khaalis

Similar Moods

As you were reading DP Shayari Shayari