ehsaas pe chaaya hai ik ehsaas-e-garaan aur | एहसास पे छाया है इक एहसास-ए-गराँ और - Dr. Ahmar Rifai

ehsaas pe chaaya hai ik ehsaas-e-garaan aur
ab dil bhi dhadakta hai to hota hai gumaan aur

allah re aashuftagi-e-shauq ka aalam
karte hain vo pursish to guzarta hai gumaan aur

thamti hi nahin joshish-e-jazbaat-e-mohabbat
kahte hain kuch un se to bahkati hai zabaan aur

ik rabt bahr-haal hai us raahat-e-jaan se
badhta hai to badhne do abhi dard-e-nihaan aur

shaayad ki abhi khatm nahin silsila-e-shauq
nazaron mein hai ik manzil-e-benaam-o-nishaan aur

waqif hain vo khud apne har andaaz-e-sitam se
hum kaise kahein dil mein hain zakhamon ke nishaan aur

kya qahar hai majboori-e-aadaab-e-mohabbat
lete hain tira naam to rukti hai zabaan aur

ahmar tapish-e-shauq salaamat hai ki paharon
rah rah ke abhi dil se jo uthata hai dhuaan aur

एहसास पे छाया है इक एहसास-ए-गराँ और
अब दिल भी धड़कता है तो होता है गुमाँ और

अल्लाह रे आशुफ़्तगी-ए-शौक़ का आलम
करते हैं वो पुर्सिश तो गुज़रता है गुमाँ और

थमती ही नहीं जोशिश-ए-जज़्बात-ए-मोहब्बत
कहते हैं कुछ उन से तो बहकती है ज़बाँ और

इक रब्त बहर-हाल है उस राहत-ए-जाँ से
बढ़ता है तो बढ़ने दो अभी दर्द-ए-निहाँ और

शायद कि अभी ख़त्म नहीं सिलसिला-ए-शौक़
नज़रों में है इक मंज़िल-ए-बेनाम-ओ-निशाँ और

वाक़िफ़ हैं वो ख़ुद अपने हर अंदाज़-ए-सितम से
हम कैसे कहें दिल में हैं ज़ख़्मों के निशाँ और

क्या क़हर है मजबूरी-ए-आदाब-ए-मोहब्बत
लेते हैं तिरा नाम तो रुकती है ज़बाँ और

'अह्मर' तपिश-ए-शौक़ सलामत है कि पहरों
रह रह के अभी दिल से जो उठता है धुआँ और

- Dr. Ahmar Rifai
0 Likes

Religion Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Ahmar Rifai

As you were reading Shayari by Dr. Ahmar Rifai

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Ahmar Rifai

Similar Moods

As you were reading Religion Shayari Shayari