manzil-e-shauq ki har raahguzar ko dekha | मंज़िल-ए-शौक़ की हर राहगुज़र को देखा - Dr. Ahmar Rifai

manzil-e-shauq ki har raahguzar ko dekha
tujh ko dekha tire andaaz-e-nazar ko dekha

hum ne vehshat ke har ik turfah asar ko dekha
khud ko dekha kabhi ujde hue ghar ko dekha

baarha paas-e-adab se na gaye us ke qareeb
baarha door se us rashk-e-qamar ko dekha

hai fida khud meri betaab-nigaahi mujh par
aaj kis shokh ki duzdeeda nazar ko dekha

hai koi baat to ai jazb-e-mohabbat warna
aaj be-saakhta kyun us ne idhar ko dekha

taab-e-deedaar rukh-e-yaar kahaan thi ahmar
hum ne apne hi faqat zauq-e-nazar ko dekha

मंज़िल-ए-शौक़ की हर राहगुज़र को देखा
तुझ को देखा तिरे अंदाज़-ए-नज़र को देखा

हम ने वहशत के हर इक तुर्फ़ा असर को देखा
ख़ुद को देखा कभी उजड़े हुए घर को देखा

बारहा पास-ए-अदब से न गए उस के क़रीब
बारहा दूर से उस रश्क-ए-क़मर को देखा

है फ़िदा ख़ुद मिरी बेताब-निगाही मुझ पर
आज किस शोख़ की दुज़्दीदा नज़र को देखा

है कोई बात तो ऐ जज़्ब-ए-मोहब्बत वर्ना
आज बे-साख़्ता क्यों उस ने इधर को देखा

ताब-ए-दीदार रुख़-ए-यार कहाँ थी 'अह्मर'
हम ने अपने ही फ़क़त ज़ौक़-ए-नज़र को देखा

- Dr. Ahmar Rifai
0 Likes

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Ahmar Rifai

As you were reading Shayari by Dr. Ahmar Rifai

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Ahmar Rifai

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari