ulfat ke jab se aam kai raaz ho gaye
badle hue jahaan ke andaaz ho gaye
haalaanki roz aate the marzi se apni vo
ik din bulaaya ham ne to naaraz ho gaye
pal pal badalte rang hain insaan kis kis tarah
samjha tha jin ko dost dagaabaaz ho gaye
jin ka koi ata na pata tha kisi ko bhi
chidiya hui jawaan to kai baaz ho gaye
vo raqs tha ki khun se zameen laal ho gai
khaamosh jitne bhi the wahan saaz ho gaye
aanand kis tarah se badalta hai waqt bhi
buzdil jo kal talak the vo jaan-baaz ho gaye
उल्फ़त के जब से आम कई राज़ हो गए
बदले हुए जहान के अंदाज़ हो गए
हालाँकि रोज़ आते थे मर्ज़ी से अपनी वो
इक दिन बुलाया हम ने तो नाराज़ हो गए
पल पल बदलते रंग हैं इंसान किस किस तरह
समझा था जिन को दोस्त दग़ाबाज़ हो गए
जिन का कोई अता न पता था किसी को भी
चिड़िया हुई जवाँ तो कई बाज़ हो गए
वो रक़्स था कि ख़ूँ से ज़मीं लाल हो गई
ख़ामोश जितने भी थे वहाँ साज़ हो गए
आनंद किस तरह से बदलता है वक़्त भी
बुज़दिल जो कल तलक थे वो जाँ-बाज़ हो गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dr. Anand Kishore
our suggestion based on Dr. Anand Kishore
As you were reading Diversity Shayari Shayari