sirf un ke dil mein basne ke liye | सिर्फ़ उन के दिल में बसने के लिए - Dr. Anand Kishore

sirf un ke dil mein basne ke liye
bik gaye hum ek sapne ke liye

qatre qatre par likhi hai dastaan
aayega kya koi padhne ke liye

aisi aadat gham ki hum ko ho gai
chahiye gham koi hansne ke liye

pehle nocha hai paron ko aur phir
kar diya azaad udne ke liye

sochte hain aasteen ko dekh kar
kya unhen paala tha dasne ke liye

dost dushman gair apne ajnabi
taak mein baithe hain dankne ke liye

kitne hain taiyyaar duniya mein jawaan
deep ki maanind jalne ke liye

teri kya auqaat hai aanand jab
shams bhi majboor dhalne ke liye

सिर्फ़ उन के दिल में बसने के लिए
बिक गए हम एक सपने के लिए

क़तरे क़तरे पर लिखी है दास्ताँ
आएगा क्या कोई पढ़ने के लिए

ऐसी आदत ग़म की हम को हो गई
चाहिए ग़म कोई हँसने के लिए

पहले नोचा है परों को और फिर
कर दिया आज़ाद उड़ने के लिए

सोचते हैं आस्तीं को देख कर
क्या उन्हें पाला था डसने के लिए

दोस्त दुश्मन ग़ैर अपने अजनबी
ताक में बैठे हैं डंकने के लिए

कितने हैं तय्यार दुनिया में जवाँ
दीप की मानिंद जलने के लिए

तेरी क्या औक़ात है 'आनंद' जब
शम्स भी मजबूर ढलने के लिए

- Dr. Anand Kishore
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Anand Kishore

As you were reading Shayari by Dr. Anand Kishore

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Anand Kishore

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari