afsos bani hi nahin pehchaan abhi tak | अफ़सोस बनी ही नहीं पहचान अभी तक - Dr. Azam

afsos bani hi nahin pehchaan abhi tak
har ahl-e-nazar mujh se hai anjaan abhi tak

sadiyon ke taghayyur se bani soorat-e-insaan
insaan nahin hai magar insaan abhi tak

ilhaam se ibhaam se eehaam se chhoote
kitne hain khayaalaat pareshaan abhi tak

kitne hi khule fahm-o-faraasat ke dariche
hain qaid-e-jahaalat mein hum insaan abhi tak

hain dair-o-haram kuch ki nahin dair-o-haram kuch
thehra nahin mera kahi eimaan abhi tak

hum ahl-e-tazbuzub ka fasana bhi ajab hai
kaafir hi bane hain na musalmaan abhi tak

taskin ki soorat koi milti nahin aazam
meri nigah-e-shauq hai hairaan abhi tak

अफ़सोस बनी ही नहीं पहचान अभी तक
हर अहल-ए-नज़र मुझ से है अंजान अभी तक

सदियों के तग़य्युर से बनी सूरत-ए-इंसाँ
इंसान नहीं है मगर इंसान अभी तक

इल्हाम से इबहाम से ईहाम से छूटे
कितने हैं ख़यालात परेशान अभी तक

कितने ही खुले फ़हम-ओ-फ़रासत के दरीचे
हैं क़ैद-ए-जहालत में हम इंसान अभी तक

हैं दैर-ओ-हरम कुछ कि नहीं दैर-ओ-हरम कुछ
ठहरा नहीं मेरा कहीं ईमान अभी तक

हम अहल-ए-तज़बज़ुब का फ़साना भी अजब है
काफ़िर ही बने हैं न मुसलमान अभी तक

तस्कीन की सूरत कोई मिलती नहीं 'आज़म'
मेरी निगह-ए-शौक़ है हैरान अभी तक

- Dr. Azam
0 Likes

Sorry Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Azam

As you were reading Shayari by Dr. Azam

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Azam

Similar Moods

As you were reading Sorry Shayari Shayari