khuda bhi jaanta hai khoob jo makkaar baithe hain | ख़ुदा भी जानता है ख़ूब जो मक्कार बैठे हैं - Dr. Azam

khuda bhi jaanta hai khoob jo makkaar baithe hain
haram mein sar-nigoon kuch qaabil-e-finnar baithe hain

gharo mein saath baithe hain sar-e-bazaar baithe hain
naqaab apnon ka odhe aaj-kal aghyaar baithe hain

mohabbat ki nazar mein jeet li hai hum ne vo baazi
zamaane ki nazar mein hum ki jis ko haar baithe hain

khata ho jaaye hum se jo koi to darguzar karna
tumhaari bazm mein hum aaj pehli baar baithe hain

zameen se ya falak se ya ki apnon se ki ghairoon se
bataayein kis tarah kis kis se hum bezaar baithe hain

yahi jamhooriyat ka naqs hai jo takht-e-shaahi par
kabhi makkaar baithe hain kabhi gaddaar baithe hain

adab ki mehfilon mein ab kahaan jamm-e-ghaafir aazam
yahan do-chaar baithe hain wahan do-chaar baithe hain

ख़ुदा भी जानता है ख़ूब जो मक्कार बैठे हैं
हरम में सर-निगूँ कुछ क़ाबिल-ए-फ़िन्नार बैठे हैं

घरों में साथ बैठे हैं सर-ए-बाज़ार बैठे हैं
नक़ाब अपनों का ओढ़े आज-कल अग़्यार बैठे हैं

मोहब्बत की नज़र में जीत ली है हम ने वो बाज़ी
ज़माने की नज़र में हम कि जिस को हार बैठे हैं

ख़ता हो जाए हम से जो कोई तो दरगुज़र करना
तुम्हारी बज़्म में हम आज पहली बार बैठे हैं

ज़मीं से या फ़लक से या कि अपनों से कि ग़ैरों से
बताएँ किस तरह किस किस से हम बेज़ार बैठे हैं

यही जम्हूरियत का नक़्स है जो तख्त-ए-शाही पर
कभी मक्कार बैठे हैं कभी ग़द्दार बैठे हैं

अदब की महफ़िलों में अब कहाँ जम्म-ए-ग़फ़ीर 'आज़म'
यहाँ दो-चार बैठे हैं वहाँ दो-चार बैठे हैं

- Dr. Azam
0 Likes

I love you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Azam

As you were reading Shayari by Dr. Azam

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Azam

Similar Moods

As you were reading I love you Shayari Shayari