buland fikr ki har she'r se ayaan ho ramq | बुलंद फ़िक्र की हर शे'र से अयाँ हो रमक़ - Dr. Azam

buland fikr ki har she'r se ayaan ho ramq
mere qalam se ada ho kabhi ghazal ka haq

udaas udaas hain insaan har ek chehra faq
ye shehar shehar hai ya dasht hai ye laq-o-daqq

main dil ki baat kahoon yun ki dil talak pahunchen
na hon kinaaye hi mubham na isti'aare adaq

chalo samet ke office ko apne ghar ki taraf
ufuq ke paar vo dekho utar rahi hai shafaq

zara sa ilm-o-hunar pa gaye to kuch kam-zarf
samajh rahe hain sabhi ko hi ahqar-o-ahmaq

phir ehtijaaj ke raaste pe kyun chalenge hum
humein jo milta rahe aap se hamaara haq

ta'alluqaat mein qaaim rakhen bharose ko
ki shak hamesha hi karta raha hai rishte shak

kisi kitaab mein milta nahin hai zikr aazam
humein sikhaaye hain is zindagi ne aise sabq

बुलंद फ़िक्र की हर शे'र से अयाँ हो रमक़
मिरे क़लम से अदा हो कभी ग़ज़ल का हक़

उदास उदास हैं इंसाँ हर एक चेहरा फ़क़
ये शहर शहर है या दश्त है ये लक़-ओ-दक़

मैं दिल की बात कहूँ यूँ कि दिल तलक पहुँचे
न हों किनाए ही मुबहम न इस्तिआ'रे अदक़

चलो समेट के ऑफ़िस को अपने घर की तरफ़
उफ़ुक़ के पार वो देखो उतर रही है शफ़क़

ज़रा सा इल्म-ओ-हुनर पा गए तो कुछ कम-ज़र्फ़
समझ रहे हैं सभी को ही अहक़र-ओ-अहमक़

फिर एहतिजाज के रस्ते पे क्यूँ चलेंगे हम
हमें जो मिलता रहे आप से हमारा हक़

तअ'ल्लुक़ात में क़ाएम रखें भरोसे को
कि शक हमेशा ही करता रहा है रिश्ते शक़

किसी किताब में मिलता नहीं है ज़िक्र 'आज़म'
हमें सिखाए हैं इस ज़िंदगी ने ऐसे सबक़

- Dr. Azam
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Azam

As you were reading Shayari by Dr. Azam

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Azam

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari