har shakhs mein kuch log kami dhundh rahe hain | हर शख़्स में कुछ लोग कमी ढूँड रहे हैं - Dr. Azam

har shakhs mein kuch log kami dhundh rahe hain
naadaan hain musabat mein nafi dhundh rahe hain

gul dhundh rahe hain na kali dhundh rahe hain
gulshan mein bas ik shaakh hari dhundh rahe hain

is yug mein kahaan hum bhi wali dhundh rahe hain
insaan mein sifaat-e-bashri dhundh rahe hain

baadal ki siyaahi mein kiran jaisi chamakti
har gham mein chhupi hum bhi khushi dhundh rahe hain

ik she'r jo mauzoon nahin kar paaye hain ab tak
ghalib ki ghazal mein bhi kami dhundh rahe hain

muddat se taqaza hai ki lautaa do mera dil
muddat se bahaana hai abhi dhundh rahe hain

tahzeeb-o-tamaddun ko khuloos aur wafa ko
aazam hi nahin aaj sabhi dhundh rahe hain

हर शख़्स में कुछ लोग कमी ढूँड रहे हैं
नादान हैं मुसबत में नफ़ी ढूँड रहे हैं

गुल ढूँड रहे हैं न कली ढूँड रहे हैं
गुलशन में बस इक शाख़ हरी ढूँड रहे हैं

इस युग में कहाँ हम भी वली ढूँड रहे हैं
इंसाँ में सिफ़ात-ए-बशरी ढूँड रहे हैं

बादल की सियाही में किरन जैसी चमकती
हर ग़म में छिपी हम भी ख़ुशी ढूँड रहे हैं

इक शे'र जो मौज़ूँ नहीं कर पाए हैं अब तक
'ग़ालिब' की ग़ज़ल में भी कमी ढूँड रहे हैं

मुद्दत से तक़ाज़ा है कि लौटा दो मिरा दिल
मुद्दत से बहाना है अभी ढूँड रहे हैं

तहज़ीब-ओ-तमद्दुन को ख़ुलूस और वफ़ा को
'आज़म' ही नहीं आज सभी ढूँड रहे हैं

- Dr. Azam
0 Likes

Wafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Azam

As you were reading Shayari by Dr. Azam

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Azam

Similar Moods

As you were reading Wafa Shayari Shayari