ummeed par hamaari ye duniya kharee nahin | उम्मीद पर हमारी ये दुनिया खरी नहीं - Dr. Azam

ummeed par hamaari ye duniya kharee nahin
phir bhi to us ko paane ki khwaahish meri nahin

be-wajh gul-rukho'n se meri be-rukhi kahaan
mere junoon-e-shauq ke qaabil pari nahin

taskin mile bhi deeda-e-hairaan ko kis tarah
sheeshaagari nahin kahi jalwagari nahin

bad-rang si bahaar hai fasl-e-bahaar mein
bashshaash dil nahin hai tabi'at hari nahin

lagta hai aaj shehar ke haalaat theek hain
masjid wagarana kal ki tarah kyun bhari nahin

haalaanki mere jurm pe parde pade rahe
dil ki malaamaton se magar main bari nahin

dharti pe dik rahe hain gunaahon ke ab asar
aazam kahi to khushki kahi par tari nahin

उम्मीद पर हमारी ये दुनिया खरी नहीं
फिर भी तो उस को पाने की ख़्वाहिश मिरी नहीं

बे-वज्ह गुल-रुख़ों से मिरी बे-रुख़ी कहाँ
मेरे जुनून-ए-शौक़ के क़ाबिल परी नहीं

तस्कीं मिले भी दीदा-ए-हैराँ को किस तरह
शीशागरी नहीं कहीं जल्वागरी नहीं

बद-रंग सी बहार है फ़स्ल-ए-बहार में
बश्शाश दिल नहीं है तबीअ'त हरी नहीं

लगता है आज शहर के हालात ठीक हैं
मस्जिद वगरना कल की तरह क्यूँ भरी नहीं

हालाँकि मेरे जुर्म पे पर्दे पड़े रहे
दिल की मलामतों से मगर मैं बरी नहीं

धरती पे दिख रहे हैं गुनाहों के अब असर
'आज़म' कहीं तो ख़ुश्की कहीं पर तरी नहीं

- Dr. Azam
0 Likes

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Azam

As you were reading Shayari by Dr. Azam

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Azam

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari