shauq baaki nahin baaki nahin ab josh-o-kharosh | शौक़ बाक़ी नहीं बाक़ी नहीं अब जोश-ओ-ख़रोश - Dr. Azam

shauq baaki nahin baaki nahin ab josh-o-kharosh
din vo pur-kaif the jab hum the saraasar madhosh

maslahat josh-e-baghaawat ko daba deti hai
dil dhadakta hai magar dil ki sadaaein khaamosh

ab koi soorat-e-guftaar nazar aati nahin
vo bhi khaamosh mera radd-e-amal bhi khaamosh

teri raftaar lagaataar ho kachhue ki tarah
warna rah jaayega tu raah mein misl-e-khargosh

zeest ki raah pe tanhaa na kabhi chal paaya
gham-e-jaanaan gham-e-dauraan bhi rahe dosh-b-dosh

saamna dehr ka tanhaa use ab karne de
paanv mein bete ke aane lage teri paa-posh

bazm-e-urdu se hui der bahut aaye hue
ab talak saans mein khushboo hai mo'attar hain gosh

ab to ghar-baar mein lagta hi nahin dil aazam
aisa lagta hai ki ho jaayenge hum khaana-b-dosh

शौक़ बाक़ी नहीं बाक़ी नहीं अब जोश-ओ-ख़रोश
दिन वो पुर-कैफ़ थे जब हम थे सरासर मदहोश

मस्लहत जोश-ए-बग़ावत को दबा देती है
दिल धड़कता है मगर दिल की सदाएँ ख़ामोश

अब कोई सूरत-ए-गुफ़्तार नज़र आती नहीं
वो भी ख़ामोश मिरा रद्द-ए-अमल भी ख़ामोश

तेरी रफ़्तार लगातार हो कछुए की तरह
वर्ना रह जाएगा तू राह में मिस्ल-ए-ख़रगोश

ज़ीस्त की राह पे तन्हा न कभी चल पाया
ग़म-ए-जानाँ ग़म-ए-दौराँ भी रहे दोश-ब-दोश

सामना दहर का तन्हा उसे अब करने दे
पाँव में बेटे के आने लगे तेरी पा-पोश

बज़्म-ए-उर्दू से हुई देर बहुत आए हुए
अब तलक साँस में ख़ुशबू है मोअ'त्तर हैं गोश

अब तो घर-बार में लगता ही नहीं दिल 'आज़म'
ऐसा लगता है कि हो जाएँगे हम ख़ाना-ब-दोश

- Dr. Azam
0 Likes

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Azam

As you were reading Shayari by Dr. Azam

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Azam

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari