main bazm ki mutahayyar samaa kar doon kya | मैं बज़्म की मुतहय्यर समाअ' कर दूँ क्या - Dr. Azam

main bazm ki mutahayyar samaa kar doon kya
ghazal ki sinf mein kuch ikhtiraau kar doon kya

baghair us ke bhi zinda hoon aur maze mein hoon
bichhadne waale ko ye ittilaa kar doon kya

mujhe pasand nahin azdahaam logon ka
ye munkashif main sar-e-ijtimaau kar doon kya

mujhe to tum ne hi barbaad kar diya lekin
tumhaare haq mein tumhaari difa kar doon kya

tumhein pasand nahin hai mera ye kaar-e-sukhan
tamaam ghazlein kaho nazr-e-jaan kar doon kya

isee sabab to pareshaan-haal rehta hoon
ana ke zo'm ko aazam vidaa kar doon kya

मैं बज़्म की मुतहय्यर समाअ' कर दूँ क्या
ग़ज़ल की सिंफ़ में कुछ इख़तिराअ' कर दूँ क्या

बग़ैर उस के भी ज़िंदा हूँ और मज़े में हूँ
बिछड़ने वाले को ये इत्तिलाअ' कर दूँ क्या

मुझे पसंद नहीं अज़दहाम लोगों का
ये मुन्कशिफ़ मैं सर-ए-इज्तिमाअ' कर दूँ क्या

मुझे तो तुम ने ही बर्बाद कर दिया लेकिन
तुम्हारे हक़ में तुम्हारी दिफ़ा कर दूँ क्या

तुम्हें पसंद नहीं है मिरा ये कार-ए-सुख़न
तमाम ग़ज़लें कहो नज़्र-ए-जाँ कर दूँ क्या

इसी सबब तो परेशान-हाल रहता हूँ
अना के ज़ो'म को 'आज़म' विदाअ' कर दूँ क्या

- Dr. Azam
0 Likes

Freedom Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Azam

As you were reading Shayari by Dr. Azam

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Azam

Similar Moods

As you were reading Freedom Shayari Shayari