aarzoo-e-visaal kya matlab
ai dil-e-pur-malaal kya matlab
toot jaaye to dil ki qadr badhe
is qadar dekh-bhaal kya matlab
be-par-o-baal taaeron ke liye
daana-o-daam-o-jaal kya matlab
naaz tha jin ko zabt par apne
un ke lab par sawaal kya matlab
maslahat-keshiyon ke saath ai dost
ghairat-o-infiaal kya matlab
intizaar aur us sitamgar ka
hasrat-e-paaemaal kya matlab
aaye aur us kam-aashnaa ko naresh
gham-zadon ka khayal kya matlab
आरज़ू-ए-विसाल क्या मतलब
ऐ दिल-ए-पुर-मलाल क्या मतलब
टूट जाए तो दिल की क़द्र बढ़े
इस क़दर देख-भाल क्या मतलब
बे-पर-ओ-बाल ताएरों के लिए
दाना-ओ-दाम-ओ-जाल क्या मतलब
नाज़ था जिन को ज़ब्त पर अपने
उन के लब पर सवाल क्या मतलब
मस्लहत-केशियों के साथ ऐ दोस्त
ग़ैरत-ओ-इंफ़िआल क्या मतलब
इंतिज़ार और उस सितमगर का
हसरत-ए-पाएमाल क्या मतलब
आए और उस कम-आश्ना को 'नरेश'
ग़म-ज़दों का ख़याल क्या मतलब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dr. Naresh
our suggestion based on Dr. Naresh
As you were reading Dost Shayari Shayari