chot khaai ho jis ne ulfat ki | चोट खाई हो जिस ने उल्फ़त की

  - Dr. Naresh

chot khaai ho jis ne ulfat ki
kya kare baat vo masarrat ki

chaar din hans ke umr bhar rona
dastaan mukhtasar hai ulfat ki

ek dhoka hai khud-farebi hai
aarzoo is jahaan mein raahat ki

aadmi aadmi ka dushman hai
uf ye tazleel aadmiyat ki

shokh aisa bana diya tum ko
ye bhi san'at hai ik mashiyyat ki

kaash mit jaayen koo-e-jaanaan mein
ham ko khwaahish nahin hai jannat ki

dil jalane pe bhi na door hui
teergi ai naresh furqat ki

चोट खाई हो जिस ने उल्फ़त की
क्या करे बात वो मसर्रत की

चार दिन हँस के उम्र भर रोना
दास्ताँ मुख़्तसर है उल्फ़त की

एक धोका है ख़ुद-फ़रेबी है
आरज़ू इस जहाँ में राहत की

आदमी आदमी का दुश्मन है
उफ़ ये तज़लील आदमियत की

शोख़ ऐसा बना दिया तुम को
ये भी सनअ'त है इक मशिय्यत की

काश मिट जाएँ कू-ए-जानाँ में
हम को ख़्वाहिश नहीं है जन्नत की

दिल जलाने पे भी न दूर हुई
तीरगी ऐ 'नरेश' फ़ुर्क़त की

  - Dr. Naresh

Intiqam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Naresh

As you were reading Shayari by Dr. Naresh

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Naresh

Similar Moods

As you were reading Intiqam Shayari Shayari