zeest be-aasra na ho jaaye | ज़ीस्त बे-आसरा न हो जाए - Dr. Naresh

zeest be-aasra na ho jaaye
dard dil se juda na ho jaaye

lutf aata hai ranj sahne mein
mere gham ki dava na ho jaaye

aa rahi hai bahaar phoolon par
josh-e-wahshat siva na ho jaaye

kah to doon haal-e-dil use lekin
dar hai zalim khafa na ho jaaye

khauf hai mujh se aankh ladte hi
un ki shokhi haya na ho jaaye

vo gurezaan se hain sitam se naresh
zindagi be-maza na ho jaaye

ज़ीस्त बे-आसरा न हो जाए
दर्द दिल से जुदा न हो जाए

लुत्फ़ आता है रंज सहने में
मेरे ग़म की दवा न हो जाए

आ रही है बहार फूलों पर
जोश-ए-वहशत सिवा न हो जाए

कह तो दूँ हाल-ए-दिल उसे लेकिन
डर है ज़ालिम ख़फ़ा न हो जाए

ख़ौफ़ है मुझ से आँख लड़ते ही
उन की शोख़ी हया न हो जाए

वो गुरेज़ाँ से हैं सितम से 'नरेश'
ज़िंदगी बे-मज़ा न हो जाए

- Dr. Naresh
0 Likes

Nazakat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Naresh

As you were reading Shayari by Dr. Naresh

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Naresh

Similar Moods

As you were reading Nazakat Shayari Shayari