ik wahi shakhs jise raahat-e-jaan kehta hoon
haan usi shakhs ko main jee ka ziyaan kehta hoon
munsif-e-shehr us awaaz se dar jaata hai
main jise ghogha-e-aawaaz-e-sagaan kehta hoon
sar use kehta hoon jis mein ho shahaadat ka junoon
haq-goi par jo kate us ko zabaan kehta hoon
waaye taqdeer vo jis baat pe kahte hain nahin
be-iraada main usi baat pe haan kehta hoon
ai naresh aap jise tarz-e-bayaan kahte hain
main use aap ka andaaz-e-fughaan kehta hoon
इक वही शख़्स जिसे राहत-ए-जाँ कहता हूँ
हाँ उसी शख़्स को मैं जी का ज़ियाँ कहता हूँ
मुंसिफ़-ए-शहर उस आवाज़ से डर जाता है
मैं जिसे ग़ोग़ा-ए-आवाज़-ए-सगाँ कहता हूँ
सर उसे कहता हूँ जिस में हो शहादत का जुनूँ
हक़-गोई पर जो कटे उस को ज़बाँ कहता हूँ
वाए तक़दीर वो जिस बात पे कहते हैं नहीं
बे-इरादा मैं उसी बात पे हाँ कहता हूँ
ऐ 'नरेश' आप जिसे तर्ज़-ए-बयाँ कहते हैं
मैं उसे आप का अंदाज़-ए-फ़ुग़ाँ कहता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dr. Naresh
our suggestion based on Dr. Naresh
As you were reading Diwangi Shayari Shayari