baat jo ki thi dil-lagi ke liye | बात जो की थी दिल-लगी के लिए

  - Dr. Naresh

baat jo ki thi dil-lagi ke liye
ban gai baar zindagi ke liye

tere jaane ke baad barson tak
lab tarsate rahe hasi ke liye

teri aamad ka gar yaqeen hota
aur jee lete ik ghadi ke liye

khoon-e-dil pee ke muskuraate raho
ye bhi laazim hai zindagi ke liye

zeest se kab ke aa chuke aajiz
jee rahe hain magar kisi ke liye

tan ke maare se kuchh nahin hoga
man ko maaro qalandari ke liye

dard gham ranj aah naala fugaan
ai naresh ek aap hi ke liye

बात जो की थी दिल-लगी के लिए
बन गई बार ज़िंदगी के लिए

तेरे जाने के बाद बरसों तक
लब तरसते रहे हँसी के लिए

तेरी आमद का गर यक़ीं होता
और जी लेते इक घड़ी के लिए

ख़ून-ए-दिल पी के मुस्कुराते रहो
ये भी लाज़िम है ज़िंदगी के लिए

ज़ीस्त से कब के आ चुके आजिज़
जी रहे हैं मगर किसी के लिए

तन के मारे से कुछ नहीं होगा
मन को मारो क़लंदरी के लिए

दर्द ग़म रंज आह नाला फ़ुग़ाँ
ऐ 'नरेश' एक आप ही के लिए

  - Dr. Naresh

Revenge Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Naresh

As you were reading Shayari by Dr. Naresh

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Naresh

Similar Moods

As you were reading Revenge Shayari Shayari