gham hai aazaar hai aziyyat hai
ek dil hai hazaar aafat hai
husn rangeeni-e-hayaat sahi
ishq bhi aadmi ki fitrat hai
aaj allah ko jaanta hai kaun
khwahish-o-hirs ki ibadat hai
teri kaafir adaaon ko qaateel
teg-o-khanjar ki kya zaroorat hai
kuchh to farmaiyega bandanawaaz
khaamoshi aap ki qayamat hai
daur-e-haazir ke aadmi ka chalan
ba'is-e-nang-e-aadmiyat hai
khoon din raat ro rahe hain naresh
kya yahi haasil-e-mohabbat hai
ग़म है आज़ार है अज़िय्यत है
एक दिल है हज़ार आफ़त है
हुस्न रंगीनी-ए-हयात सही
इश्क़ भी आदमी की फ़ितरत है
आज अल्लाह को जानता है कौन
ख़्वाहिश-ओ-हिर्स की इबादत है
तेरी काफ़िर अदाओं को क़ातिल
तेग़-ओ-ख़ंजर की क्या ज़रूरत है
कुछ तो फ़रमाइएगा बंदा-नवाज़
ख़ामुशी आप की क़यामत है
दौर-ए-हाज़िर के आदमी का चलन
बाइ'स-ए-नंग-ए-आदमियत है
ख़ून दिन रात रो रहे हैं 'नरेश'
क्या यही हासिल-ए-मोहब्बत है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dr. Naresh
our suggestion based on Dr. Naresh
As you were reading Aadmi Shayari Shayari