yun b-zaahir dekhne mein go ki be chehra hoon main
mujh mein apne khaal-o-khat dekho ki aaina hoon main
jazba-e-sehra-navardi thak ke kab rukta hoon main
paanv se kaanta nikalne de abhi chalta hoon main
haal zahar-aalood maazi faut mustaqbil siyaah
aaj ke insaan ki taqdeer padh saka hoon main
may-kashi to kya bujha paayegi meri tishnagi
deejie mujh ko samundar pyaas ka sehra hoon main
vo khayaalon mein barhana jism kya aaye naresh
raat bhar apne badan ki aanch se sulga hoon main
यूँ ब-ज़ाहिर देखने में गो कि बे चेहरा हूँ मैं
मुझ में अपने ख़ाल-ओ-ख़त देखो कि आईना हूँ मैं
जज़्बा-ए-सहरा-नवरदी थक के कब रुकता हूँ मैं
पाँव से काँटा निकलने दे अभी चलता हूँ मैं
हाल ज़हर-आलूद माज़ी फ़ौत मुस्तक़बिल सियाह
आज के इंसान की तक़दीर पढ़ सकता हूँ मैं
मय-कशी तो क्या बुझा पाएगी मेरी तिश्नगी
दीजिए मुझ को समुंदर प्यास का सहरा हूँ मैं
वो ख़यालों में बरहना जिस्म क्या आए 'नरेश'
रात भर अपने बदन की आँच से सुलगा हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dr. Naresh
our suggestion based on Dr. Naresh
As you were reading Insaan Shayari Shayari