pursish-e-gham ko na aa gham ka mudaava ho ja
mujh mein dil ban ke dhadak mera saraapa ho ja
paav rakhne ko zameen tag na mayassar hogi
bheed se ooncha na uth bheed ka hissa ho ja
aql kahti hai ki maang un se wafaon ka sila
dil ye kehta hai ki mahroom-e-tamanna ho ja
toot hi jaayen na dharti se kahi sab rishte
itna ooncha bhi na ud thoda sa neecha ho ja
rifaten choo ke dikha ishq-o-mohabbat ki naresh
us ne ik qatra jo maanga hai to dariya ho ja
पुर्सिश-ए-ग़म को न आ ग़म का मुदावा हो जा
मुझ में दिल बन के धड़क मेरा सरापा हो जा
पावँ रखने को ज़मीं तग न मयस्सर होगी
भीड़ से ऊँचा न उठ भीड़ का हिस्सा हो जा
अक़्ल कहती है कि माँग उन से वफ़ाओं का सिला
दिल ये कहता है कि महरूम-ए-तमन्ना हो जा
टूट ही जाएँ न धरती से कहीं सब रिश्ते
इतना ऊँचा भी न उड़ थोड़ा सा नीचा हो जा
रिफ़अतें छू के दिखा इश्क़-ओ-मोहब्बत की 'नरेश'
उस ने इक क़तरा जो माँगा है तो दरिया हो जा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dr. Naresh
our suggestion based on Dr. Naresh
As you were reading Samundar Shayari Shayari