gham judaai ka na shaayad mujhe itna hota | ग़म जुदाई का न शायद मुझे इतना होता - Dr. Naresh

gham judaai ka na shaayad mujhe itna hota
tum ne ai kaash jo mujh ko kabhi samjha hota

ibn-e-aadam na kabhi is tarah tishna hota
ret pe us ko jo paani ka na dhoka hota

ain mumkin hai ki zid chhod ke vo ruk jaata
jaane waale ne jo mud kar mujhe dekha hota

kya ajab hai ki vo gandum ko na chhoota hargiz
mard-e-awwal na agar bakht ka maara hota

do qadam saath to milte mere ahbaab naresh
kaash har dost ne vishwas na toda hota

ग़म जुदाई का न शायद मुझे इतना होता
तुम ने ऐ काश जो मुझ को कभी समझा होता

इब्न-ए-आदम न कभी इस तरह तिश्ना होता
रेत पे उस को जो पानी का न धोका होता

ऐन मुमकिन है कि ज़िद छोड़ के वो रुक जाता
जाने वाले ने जो मुड़ कर मुझे देखा होता

क्या अजब है कि वो गंदुम को न छूता हरगिज़
मर्द-ए-अव्वल न अगर बख़्त का मारा होता

दो क़दम साथ तो मिलते मिरे अहबाब 'नरेश'
काश हर दोस्त ने विश्वास न तोड़ा होता

- Dr. Naresh
0 Likes

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Naresh

As you were reading Shayari by Dr. Naresh

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Naresh

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari