zikr-e-maazi se shab-o-roz sataate hain mujhe
mere ahbaab hi deewaana banaate hain mujhe
main to ik jumla-e-ba-ma'ani-o-ba-matlub hoon
aur vo harf-e-ghalat kah ke mitaate hain mujhe
ek be-rabt taalluq ka sahaara le kar
log kya ishq ke andaaz sikhaate hain mujhe
jo the apne hi khud-o-khaal se ghaafil kal tak
aaj vo log bhi aaina dikhaate hain mujhe
kuchh tabi'at hi bagaavat ki taraf maail hai
warna maykhaane ke aadaab to aate hain mujhe
kuchh taalluq koi nisbat nahin lekin phir bhi
ai naresh aaj suna hai ki banaate hain mujhe
ज़िक्र-ए-माज़ी से शब-ओ-रोज़ सताते हैं मुझे
मेरे अहबाब ही दीवाना बनाते हैं मुझे
मैं तो इक जुमला-ए-बा-मा'नी-ओ-बा-मतलब हूँ
और वो हर्फ़-ए-ग़लत कह के मिटाते हैं मुझे
एक बे-रब्त तअल्लुक़ का सहारा ले कर
लोग क्या इश्क़ के अंदाज़ सिखाते हैं मुझे
जो थे अपने ही ख़द-ओ-ख़ाल से ग़ाफ़िल कल तक
आज वो लोग भी आईना दिखाते हैं मुझे
कुछ तबीअ'त ही बग़ावत की तरफ़ माइल है
वर्ना मयख़ाने के आदाब तो आते हैं मुझे
कुछ तअल्लुक़ कोई निस्बत नहीं लेकिन फिर भी
ऐ 'नरेश' आज सुना है कि बनाते हैं मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dr. Naresh
our suggestion based on Dr. Naresh
As you were reading Aaina Shayari Shayari