unhen mujh se go kuchh shikaayat nahin hai
gazab hai ki phir bhi inaayat nahin hai
pila de mujhe apne haathon se saaqi
sakhaawat mein koi nadaamat nahin hai
sitam jaan-nisaaron pe din raat karna
mohabbat nahin hai muravvat nahin hai
uf itna takabbur khudaai ka da'wa
buto tum ko khauf-e-qayaamat nahin hai
karein aah-o-fariyaad kya ham qafas mein
ki aah-o-fughaan ki ijaazat nahin hai
azal se buton ki parastish hai hoti
naya ye tareeq-e-ibaadat nahin hai
naresh un ke zulmon ka shikwa na hoga
ki fariyaad ki mujh ko aadat nahin hai
उन्हें मुझ से गो कुछ शिकायत नहीं है
ग़ज़ब है कि फिर भी इनायत नहीं है
पिला दे मुझे अपने हाथों से साक़ी
सख़ावत में कोई नदामत नहीं है
सितम जाँ-निसारों पे दिन रात करना
मोहब्बत नहीं है मुरव्वत नहीं है
उफ़ इतना तकब्बुर ख़ुदाई का दा'वा
बुतो तुम को ख़ौफ़-ए-क़यामत नहीं है
करें आह-ओ-फ़रियाद क्या हम क़फ़स में
कि आह-ओ-फ़ुग़ाँ की इजाज़त नहीं है
अज़ल से बुतों की परस्तिश है होती
नया ये तरीक़-ए-इबादत नहीं है
'नरेश' उन के ज़ुल्मों का शिकवा न होगा
कि फ़रियाद की मुझ को आदत नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dr. Naresh
our suggestion based on Dr. Naresh
As you were reading Maikada Shayari Shayari