vo jo mehfil mein khoob hansta tha | वो जो महफ़िल में ख़ूब हँसता था - Dr. Naresh

vo jo mehfil mein khoob hansta tha
haaye vo shakhs kitna tanhaa tha

chup ka ye tajurba bhi kaisa tha
saara ghar saayein saayein karta tha

tum se rootha to tha zaroor magar
khud se dar kar main ghar se bhaaga tha

jitne aansu the mere apne the
aur har qahqaha paraaya tha

husn kya zehan ki zaroorat thi
ishq kya jism ka taqaza tha

pak chuki fasl kaat ab is ko
khet vahmon ka tu ne boya tha

tum ne jis ki duaaein maangi theen
abr vo parbaton pe barsa tha

mere andar ka main visaal ki shab
mujh se bhi tez tez dauda tha

haaye vo din naresh jab us ne
khat na likhie ye khat mein likkha tha

वो जो महफ़िल में ख़ूब हँसता था
हाए वो शख़्स कितना तन्हा था

चुप का ये तजरबा भी कैसा था
सारा घर साएँ साएँ करता था

तुम से रूठा तो था ज़रूर मगर
ख़ुद से डर कर मैं घर से भागा था

जितने आँसू थे मेरे अपने थे
और हर क़हक़हा पराया था

हुस्न क्या ज़ेहन की ज़रूरत थी
इश्क़ क्या जिस्म का तक़ाज़ा था

पक चुकी फ़स्ल काट अब इस को
खेत वहमों का तू ने बोया था

तुम ने जिस की दुआएँ माँगी थीं
अब्र वो पर्बतों पे बरसा था

मेरे अंदर का मैं विसाल की शब
मुझ से भी तेज़ तेज़ दौड़ा था

हाए वो दिन 'नरेश' जब उस ने
ख़त न लिखिए ये ख़त में लिक्खा था

- Dr. Naresh
0 Likes

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Naresh

As you were reading Shayari by Dr. Naresh

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Naresh

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari