tire firaq mein jab bhi bahaar guzri hai
hamein rula ke lahu baar baar guzri hai
panaah khuda ki haseenon ki bad-mizaaji se
meri dua bhi unhen naagawaar guzri hai
tamaam raat sitaaron ke saath roya hoon
na pooch kaise shab-e-intizaar guzri hai
tira naseeb agar tu ne pee nahin zaahid
bahaar warna badi pur-bahaar guzri hai
ham apne dard ko royen to kis liye aakhir
shab-e-firaq kise saazgaar guzri hai
kisi ki yaad mein ham ko naresh tadpa kar
utha ke hashr naseem-e-bahaar guzri hai
तिरे फ़िराक़ में जब भी बहार गुज़री है
हमें रुला के लहू बार बार गुज़री है
पनाह ख़ुदा की हसीनों की बद-मिज़ाजी से
मिरी दुआ भी उन्हें नागवार गुज़री है
तमाम रात सितारों के साथ रोया हूँ
न पूछ कैसे शब-ए-इंतिज़ार गुज़री है
तिरा नसीब अगर तू ने पी नहीं ज़ाहिद
बहार वर्ना बड़ी पुर-बहार गुज़री है
हम अपने दर्द को रोएँ तो किस लिए आख़िर
शब-ए-फ़िराक़ किसे साज़गार गुज़री है
किसी की याद में हम को 'नरेश' तड़पा कर
उठा के हश्र नसीम-ए-बहार गुज़री है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dr. Naresh
our suggestion based on Dr. Naresh
As you were reading Neend Shayari Shayari