khud se bichhad ke zaat ke paikar mein qaid hoon
ghar se nikal gaya tha magar ghar mein qaid hoon
hoon naa'ra-e-jihaad bhi azm-e-jawaan bhi
dil mein kabhi muqeem tha ab sar mein qaid hoon
mushtaqq-o-muntazir hoon ki chingaariyaan milen
kya khoob aag ho ke bhi patthar mein qaid hoon
dekho to kaayenaat dikhaai de zer-e-paa
sochun to jaise khud hi samundar mein qaid hoon
vo to bula rahe hain magar ai naresh main
apni ana ke gumbad-e-be-dar mein qaid hoon
ख़ुद से बिछड़ के ज़ात के पैकर में क़ैद हूँ
घर से निकल गया था मगर घर में क़ैद हूँ
हूँ ना'रा-ए-जिहाद भी अज़्म-ए-जवान भी
दिल में कभी मुक़ीम था अब सर में क़ैद हूँ
मुश्ताक़-ओ-मुंतज़िर हूँ कि चिंगारियाँ मिलें
क्या ख़ूब आग हो के भी पत्थर में क़ैद हूँ
देखो तो काएनात दिखाई दे ज़ेर-ए-पा
सोचूँ तो जैसे ख़ुद ही समुंदर में क़ैद हूँ
वो तो बुला रहे हैं मगर ऐ 'नरेश' मैं
अपनी अना के गुम्बद-ए-बे-दर में क़ैद हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dr. Naresh
our suggestion based on Dr. Naresh
As you were reading Dil Shayari Shayari