sadaqat uthati jaati hai jahaan se
zameen takra na jaaye aasmaan se
sharar-ha-e-gham-e-hasti ko saaqi
bujha bhi de sharaab-e-arghwaan se
sitam-gaaron sitam se baaz aao
daro ham na-tawanoon ki fugaan se
shab-e-gham ki hazeen tanhaaiyon mein
sukoon-e-dil koi laaye kahaan se
bahaar aayi na jab apne chaman mein
mohabbat ho gai aakhir khizaan se
jo dil ka haal sab un ko suna de
naresh aisi zabaan laaun kahaan se
सदाक़त उठती जाती है जहाँ से
ज़मीं टकरा न जाए आसमाँ से
शरर-हा-ए-ग़म-ए-हस्ती को साक़ी
बुझा भी दे शराब-ए-अर्ग़वाँ से
सितम-गारों सितम से बाज़ आओ
डरो हम ना-तवानों की फ़ुग़ाँ से
शब-ए-ग़म की हज़ीं तन्हाइयों में
सुकून-ए-दिल कोई लाए कहाँ से
बहार आई न जब अपने चमन में
मोहब्बत हो गई आख़िर ख़िज़ाँ से
जो दिल का हाल सब उन को सुना दे
'नरेश' ऐसी ज़बाँ लाऊँ कहाँ से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dr. Naresh
our suggestion based on Dr. Naresh
As you were reading Nature Shayari Shayari