ik vo hain ki wa'da koi ifa nahin karte
ik ham hain ki us ka koi shikwa nahin karte
un ka to hai dastoor bhula dete hain sab ko
ham un ko kisi haal mein bhoola nahin karte
ro ro ke shab-o-roz tire hijr mein ai dost
ham apni mohabbat ka tamasha nahin karte
tum jin ki nigaahon mein samaa jaate ho phir vo
duniya ki kisi shay ki tamannaa nahin karte
aagaah-e-rah-o-rasm-e-mohabbat hain jo aashiq
vo khud ko fugaan se kabhi rusva nahin karte
hai un ki khushi mein hi naresh apni masarrat
ham apne gham-o-dard ki parwa nahin karte
इक वो हैं कि वा'दा कोई ईफ़ा नहीं करते
इक हम हैं कि उस का कोई शिकवा नहीं करते
उन का तो है दस्तूर भुला देते हैं सब को
हम उन को किसी हाल में भूला नहीं करते
रो रो के शब-ओ-रोज़ तिरे हिज्र में ऐ दोस्त
हम अपनी मोहब्बत का तमाशा नहीं करते
तुम जिन की निगाहों में समा जाते हो फिर वो
दुनिया की किसी शय की तमन्ना नहीं करते
आगाह-ए-रह-ओ-रस्म-ए-मोहब्बत हैं जो आशिक़
वो ख़ुद को फ़ुग़ाँ से कभी रुस्वा नहीं करते
है उन की ख़ुशी में ही 'नरेश' अपनी मसर्रत
हम अपने ग़म-ओ-दर्द की परवा नहीं करते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Dr. Naresh
our suggestion based on Dr. Naresh
As you were reading Dosti Shayari Shayari