na raas aaya tasavvur mein qurbaten rakhna | न रास आया तसव्वुर में क़ुर्बतें रखना - Dr. Rahi

na raas aaya tasavvur mein qurbaten rakhna
kisi ke naam se be-wajh nisbatein rakhna

jahaan bhi aap pe ilzaam aane waala ho
meri qasam hai wahan mujh pe tohmaten rakhna

rivaayaton se bagaavat ke baad mushkil hai
guzishta daur ki qaaim rivaayatein rakhna

mujh aise khwaab mein jin ki nahin koi ta'beer
tum aise khwaabon ki dil mein na hasratein rakhna

vo be-naqaab hua hai na hone waala hai
abas hai deed ki aankhon mein hasratein rakhna

khuloos-e-dil se milo har kisi se ai raahi
tumhaara kaam nahin hai riqabaten rakhna

न रास आया तसव्वुर में क़ुर्बतें रखना
किसी के नाम से बे-वज्ह निस्बतें रखना

जहाँ भी आप पे इल्ज़ाम आने वाला हो
मिरी क़सम है वहाँ मुझ पे तोहमतें रखना

रिवायतों से बग़ावत के बाद मुश्किल है
गुज़िश्ता दौर की क़ाएम रिवायतें रखना

मुझ ऐसे ख़्वाब में जिन की नहीं कोई ता'बीर
तुम ऐसे ख़्वाबों की दिल में न हसरतें रखना

वो बे-नक़ाब हुआ है न होने वाला है
अबस है दीद की आँखों में हसरतें रखना

ख़ुलूस-ए-दिल से मिलो हर किसी से ऐ 'राही'
तुम्हारा काम नहीं है रिक़ाबतें रखना

- Dr. Rahi
0 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Rahi

As you were reading Shayari by Dr. Rahi

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Rahi

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari