tere baghair zindagi kya zindagi miyaan | तेरे बग़ैर ज़िंदगी क्या ज़िंदगी मियाँ - Dr. Rahi

tere baghair zindagi kya zindagi miyaan
ek ek lamha hai mujhe ek ik sadi miyaan

hairat se dekhta hai mujhe har koi miyaan
jaise main apne shehar mein hoon ajnabi miyaan

har baat mein hai talkhi-o-afsurdagi miyaan
hai mustaqil azaab meri zindagi miyaan

kehne ko yun to sab nazar aate hain aadmi
mushkil se bhi mila na koi aadmi miyaan

jurat agar hai tujh mein to aa khul ke saamne
parde mein dosti ke na kar dushmani miyaan

main ne to us ka saath diya hai tamaam umr
kyun mera saath chhod gai zindagi miyaan

raahi ko jab khushi ki zaroorat nahin rahi
nikli hai dhoondhti hui us ko khushi miyaan

तेरे बग़ैर ज़िंदगी क्या ज़िंदगी मियाँ
एक एक लम्हा है मुझे एक इक सदी मियाँ

हैरत से देखता है मुझे हर कोई मियाँ
जैसे मैं अपने शहर में हूँ अजनबी मियाँ

हर बात में है तल्ख़ी-ओ-अफ़्सुर्दगी मियाँ
है मुस्तक़िल अज़ाब मिरी ज़िंदगी मियाँ

कहने को यूँ तो सब नज़र आते हैं आदमी
मुश्किल से भी मिला न कोई आदमी मियाँ

जुरअत अगर है तुझ में तो आ खुल के सामने
पर्दे में दोस्ती के न कर दुश्मनी मियाँ

मैं ने तो उस का साथ दिया है तमाम उम्र
क्यों मेरा साथ छोड़ गई ज़िंदगी मियाँ

'राही' को जब ख़ुशी की ज़रूरत नहीं रही
निकली है ढूँढती हुई उस को ख़ुशी मियाँ

- Dr. Rahi
0 Likes

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Rahi

As you were reading Shayari by Dr. Rahi

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Rahi

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari