jis ko apna kah sakoon koi jahaan aisa to ho | जिस को अपना कह सकूँ कोई जहाँ ऐसा तो हो - Dr. Rahi

jis ko apna kah sakoon koi jahaan aisa to ho
jab zameen aisi nahin hai aasmaan aisa to ho

sar chhupaane ko zameen par ik makaan aisa to ho
saaebaan ka shak ho jis par saaebaan aisa to ho

meherbaan koi nahin duniya mein ye sach hai magar
waqt par kaam aaye koi meherbaan aisa to ho

jis tarah aati hai har dam mere aangan mein saba
teri aahat ka kabhi dil mein gumaan aisa to ho

sham'a vo apne hi haathon se bujha kar kah gaye
kam se kam uthata hua dil se dhuaan aisa to ho

sab ko ho tark-e-ta'alluq par ta'alluq ka gumaan
kuch na kuch rabt-o-ta'alluq darmiyaan aisa to ho

जिस को अपना कह सकूँ कोई जहाँ ऐसा तो हो
जब ज़मीं ऐसी नहीं है आसमाँ ऐसा तो हो

सर छुपाने को ज़मीं पर इक मकाँ ऐसा तो हो
साएबाँ का शक हो जिस पर साएबाँ ऐसा तो हो

मेहरबाँ कोई नहीं दुनिया में ये सच है मगर
वक़्त पर काम आए कोई मेहरबाँ ऐसा तो हो

जिस तरह आती है हर दम मेरे आँगन में सबा
तेरी आहट का कभी दिल में गुमाँ ऐसा तो हो

शम्अ' वो अपने ही हाथों से बुझा कर कह गए
कम से कम उठता हुआ दिल से धुआँ ऐसा तो हो

सब को हो तर्क-ए-तअ'ल्लुक़ पर तअ'ल्लुक़ का गुमाँ
कुछ न कुछ रब्त-ओ-तअ'ल्लुक़ दरमियाँ ऐसा तो हो

- Dr. Rahi
0 Likes

Aasman Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Rahi

As you were reading Shayari by Dr. Rahi

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Rahi

Similar Moods

As you were reading Aasman Shayari Shayari