ai sitam-gar sitam ki baat nahin | ऐ सितम-गर सितम की बात नहीं - Dr. Rahi

ai sitam-gar sitam ki baat nahin
kam se kam aaj gham ki baat nahin

subh-e-nau ka hai zikr mehfil mein
ab yahan shaam-e-gham ki baat nahin

saari duniya hai mehrbaan to kya
un ke lutf-o-karam ki baat nahin

tazkira hai wafa ki manzil ka
raah ke pech-o-kham ki baat nahin

munhasir hai amal to niyyat par
sirf qaul-o-qasam ki baat nahin

zikr sheesha-garon ka hai raahi
pattharon ke sanam ki baat nahin

ऐ सितम-गर सितम की बात नहीं
कम से कम आज ग़म की बात नहीं

सुब्ह-ए-नौ का है ज़िक्र महफ़िल में
अब यहाँ शाम-ए-ग़म की बात नहीं

सारी दुनिया है मेहरबान तो क्या
उन के लुत्फ़-ओ-करम की बात नहीं

तज़्किरा है वफ़ा की मंज़िल का
राह के पेच-ओ-ख़म की बात नहीं

मुनहसिर है अमल तो निय्यत पर
सिर्फ़ क़ौल-ओ-क़सम की बात नहीं

ज़िक्र शीशा-गरों का है 'राही'
पत्थरों के सनम की बात नहीं

- Dr. Rahi
0 Likes

Zakhm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Rahi

As you were reading Shayari by Dr. Rahi

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Rahi

Similar Moods

As you were reading Zakhm Shayari Shayari