nahin makaan na sahi sar pe aasmaan to hai | नहीं मकाँ न सही सर पे आसमान तो है - Dr. Rahi

nahin makaan na sahi sar pe aasmaan to hai
zameen pe hai dar-o-deewar saayebaan to hai

hazaar mujh pe ghamon ke pahaad toot pade
mujhe bachaane tiri yaad ki chataan to hai

nahin khudaai mein koi bhi meherbaan na sahi
khudaai jis ki hai vo mujh pe mehrbaan to hai

nahin hai mujh ko koi da'wa-e-zubaan-daani
yahi bahut hai ki urdu meri zabaan to hai

mujhi pe aaj sitam hain baja-e-lutf-o-karam
khushi hai ye mujhe ik rabt darmiyaan to hai

karein hazaar buraai vo gair ki raahi
magar zamaane ko kya kijeye bad-gumaan to hai

नहीं मकाँ न सही सर पे आसमान तो है
ज़मीं पे है दर-ओ-दीवार साएबान तो है

हज़ार मुझ पे ग़मों के पहाड़ टूट पड़ें
मुझे बचाने तिरी याद की चटान तो है

नहीं ख़ुदाई में कोई भी मेहरबाँ न सही
ख़ुदाई जिस की है वो मुझ पे मेहरबान तो है

नहीं है मुझ को कोई दा'वा-ए-ज़बाँ-दानी
यही बहुत है कि उर्दू मिरी ज़बान तो है

मुझी पे आज सितम हैं बजा-ए-लुत्फ़-ओ-करम
ख़ुशी है ये मुझे इक रब्त दरमियान तो है

करें हज़ार बुराई वो ग़ैर की 'राही'
मगर ज़माने को क्या कीजे बद-गुमान तो है

- Dr. Rahi
0 Likes

Zakhm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Dr. Rahi

As you were reading Shayari by Dr. Rahi

Similar Writers

our suggestion based on Dr. Rahi

Similar Moods

As you were reading Zakhm Shayari Shayari