ab to bosida ho chale hain ham | अब तो बोसीदा हो चले हैं हम

  - Ehsan Ali Khan

ab to bosida ho chale hain ham
tootne footne lage hain ham

zakhm-e-dil ki kasak chhupaane ko
jism par ghaav chahte hain ham

ab nahin fikr-e-sood ranj-e-ziyaan
khwaar hona tha ho chuke hain ham

ab sabhi kuchh hamein gawara hai
haaye kitne badal gaye hain ham

ham se daaman bacha ke chalti hai
ai saba tujh ko jaante hain ham

raahbar ke baghair hi ahsan
nayi raahon pe chal sake hain ham

अब तो बोसीदा हो चले हैं हम
टूटने फूटने लगे हैं हम

ज़ख़्म-ए-दिल की कसक छुपाने को
जिस्म पर घाव चाहते हैं हम

अब नहीं फ़िक्र-ए-सूद रंज-ए-ज़ियाँ
ख़्वार होना था हो चुके हैं हम

अब सभी कुछ हमें गवारा है
हाए कितने बदल गए हैं हम

हम से दामन बचा के चलती है
ऐ सबा तुझ को जानते हैं हम

राहबर के बग़ैर ही 'अहसन'
नई राहों पे चल सके हैं हम

  - Ehsan Ali Khan

Ghayal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Ali Khan

As you were reading Shayari by Ehsan Ali Khan

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Ali Khan

Similar Moods

As you were reading Ghayal Shayari Shayari