hifz-e-gul ke liye rakhte jo nigahbaan kuchh aur
ho gaya phoolon se mahroom gulistaan kuchh aur
loot ke sahme hue paudon ne ye sargoshi ki
ab nigahbaano pe rakkhenge nigahbaan kuchh aur
shehr-e-dil kuchh to saja len ki bharam rah jaaye
husn-e-faateh ko hain taaraaj ke armaan kuchh aur
waqt har saans ke badle mein paseena maange
dil ye chahe ki ho aasaan bhi aasaan kuchh aur
shehar se phir koi wahshi idhar aaya shaayad
aaj sehra mein hain andaaz-e-ghazaalaan kuchh aur
jin ko mashshaatagi-e-zulf ka da'wa tha bahut
kar gaye gesoo-e-geeti vo pareshaan kuchh aur
phir kabhi ho ki na ho milne ki soorat paida
chand sa'at hi chale mehfil-e-yaaraan kuchh aur
kuchh na hone pe bahut kuchh hai mayassar ahsan
kaash hote tire maamure mein insaan kuchh aur
हिफ़्ज़-ए-गुल के लिए रखते जो निगहबाँ कुछ और
हो गया फूलों से महरूम गुलिस्ताँ कुछ और
लुट के सहमे हुए पौदों ने ये सरगोशी की
अब निगहबानों पे रक्खेंगे निगहबाँ कुछ और
शहर-ए-दिल कुछ तो सजा लें कि भरम रह जाए
हुस्न-ए-फ़ातेह को हैं ताराज के अरमाँ कुछ और
वक़्त हर साँस के बदले में पसीना माँगे
दिल ये चाहे कि हो आसान भी आसाँ कुछ और
शहर से फिर कोई वहशी इधर आया शायद
आज सहरा में हैं अंदाज़-ए-ग़ज़ालाँ कुछ और
जिन को मश्शातगी-ए-ज़ुल्फ़ का दा'वा था बहुत
कर गए गेसू-ए-गेती वो परेशाँ कुछ और
फिर कभी हो कि न हो मिलने की सूरत पैदा
चंद साअ'त ही चले महफ़िल-ए-याराँ कुछ और
कुछ न होने पे बहुत कुछ है मयस्सर 'अहसन'
काश होते तिरे मामूरे में इंसाँ कुछ और
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ehsan Ali Khan
our suggestion based on Ehsan Ali Khan
As you were reading Aadmi Shayari Shayari