phir andheron ne raaste roke | फिर अँधेरों ने रास्ते रोके

  - Ehsan Ali Khan

phir andheron ne raaste roke
phir naye khizr hain naye dhoke

gham ke maaron ki saadgi dekho
maangte hain ye har khushi ro ke

ham ki jooiya-e-aalam-e-nau the
ghar ko laute kahaan kahaan ho ke

ham se mat pooch subh kab hogi
ham ne sadiyaan ganwaai hain so ke

juz ajal koi to sila milta
zindagi tere bojh ko dho ke

zahar zindaan saleeb yaad aaye
zehan mein tukhm-e-aagahi bo ke

baat insaan ki kyun sune ahsan
jo farishta ho vo use toke

फिर अँधेरों ने रास्ते रोके
फिर नए ख़िज़्र हैं नए धोके

ग़म के मारों की सादगी देखो
माँगते हैं ये हर ख़ुशी रो के

हम कि जूया-ए-आलम-ए-नौ थे
घर को लौटे कहाँ कहाँ हो के

हम से मत पूछ सुब्ह कब होगी
हम ने सदियाँ गँवाई हैं सो के

जुज़ अजल कोई तो सिला मिलता
ज़िंदगी तेरे बोझ को ढो के

ज़हर ज़िंदाँ सलीब याद आए
ज़ेहन में तुख़्म-ए-आगही बो के

बात इंसाँ की क्यूँ सुने 'अहसन'
जो फ़रिश्ता हो वो उसे टोके

  - Ehsan Ali Khan

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ehsan Ali Khan

As you were reading Shayari by Ehsan Ali Khan

Similar Writers

our suggestion based on Ehsan Ali Khan

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari