daroon-e-ishq ajab taana-baana banta hai | दरून-ए-इश्क़ अजब ताना-बाना बनता है

  - Ejaaz tawakkal

daroon-e-ishq ajab taana-baana banta hai
zara si baat ka kitna fasana banta hai

miyaan ye shaakh-e-mohabbat tumhaare saamne hai
banaao us pe agar aashiyana banta hai

hamaare dard pade hain chahaar samt yahan
so muskuraao yahan muskurana banta hai

chhupaaye firta hoon aankhon mein ashk ke moti
ki jam'a karne se daulat khazana banta hai

ye dasht hai yahan deewaangi zaroori hai
har ek shakhs junoon ka nishaana banta hai

meri wafaon ko ab e'tibaar haasil hai
so us ke ghar mein mera aana-jaana banta hai

tumhaare jaisi hai us ke mizaaj mein shokhi
ye rang meri nazar mein udhaana banta hai

use bataate hain ghalib ke rishta-daar hain ham
hamaare saamne jo bhi yagaana banta hai

rahi hon paanch chhe pushtein daroon-e-dasht tabhi
mere aziz junoon ka gharaana banta hai

दरून-ए-इश्क़ अजब ताना-बाना बनता है
ज़रा सी बात का कितना फ़साना बनता है

मियाँ ये शाख़-ए-मोहब्बत तुम्हारे सामने है
बनाओ उस पे अगर आशियाना बनता है

हमारे दर्द पड़े हैं चहार सम्त यहाँ
सो मुस्कुराओ यहाँ मुस्कुराना बनता है

छुपाए फिरता हूँ आँखों में अश्क के मोती
कि जम्अ' करने से दौलत ख़ज़ाना बनता है

ये दश्त है यहाँ दीवानगी ज़रूरी है
हर एक शख़्स जुनूँ का निशाना बनता है

मिरी वफ़ाओं को अब ए'तिबार हासिल है
सो उस के घर में मिरा आना-जाना बनता है

तुम्हारे जैसी है उस के मिज़ाज में शोख़ी
ये रंग मेरी नज़र में उड़ाना बनता है

उसे बताते हैं 'ग़ालिब' के रिश्ता-दार हैं हम
हमारे सामने जो भी 'यगाना' बनता है

रही हों पाँच छे पुश्तें दरून-ए-दश्त तभी
मिरे अज़ीज़ जुनूँ का घराना बनता है

  - Ejaaz tawakkal

Nazakat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaaz tawakkal

As you were reading Shayari by Ejaaz tawakkal

Similar Writers

our suggestion based on Ejaaz tawakkal

Similar Moods

As you were reading Nazakat Shayari Shayari