chahaar samt kahi daayein baayein lagti hain | चहार सम्त कहीं दाएँ बाएँ लगती हैं

  - Ejaaz tawakkal

chahaar samt kahi daayein baayein lagti hain
sukoot todna ho to sadaaein lagti hain

buzurg aise bhalaai ke ped hain jin par
agar samar na lage to duaaein lagti hain

ki in ke hone se ghar bhi chahakne lagta hai
mujhe to betiyaan bhi fakhtaayein lagti hain

bataaya jaaye agar dil ka dard rokna ho
to ek maah mein kitni dawaayein lagti hain

hoon ik pahaad ki choti pe aaj-kal aabaad
main ghar se nikloon to dil se ghataaein lagti hain

main is liye bhi jalata hoon apna dil ejaz
ki is diye ko zara kam hawaaein lagti hain

चहार सम्त कहीं दाएँ बाएँ लगती हैं
सुकूत तोड़ना हो तो सदाएँ लगती हैं

बुज़ुर्ग ऐसे भलाई के पेड़ हैं जिन पर
अगर समर न लगे तो दुआएँ लगती हैं

कि इन के होने से घर भी चहकने लगता है
मुझे तो बेटियाँ भी फ़ाख़ताएँ लगती हैं

बताया जाए अगर दिल का दर्द रोकना हो
तो एक माह में कितनी दवाएँ लगती हैं

हूँ इक पहाड़ की चोटी पे आज-कल आबाद
मैं घर से निकलूँ तो दिल से घटाएँ लगती हैं

मैं इस लिए भी जलाता हूँ अपना दिल 'एजाज़'
कि इस दिए को ज़रा कम हवाएँ लगती हैं

  - Ejaaz tawakkal

Ishaara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaaz tawakkal

As you were reading Shayari by Ejaaz tawakkal

Similar Writers

our suggestion based on Ejaaz tawakkal

Similar Moods

As you were reading Ishaara Shayari Shayari