ye bhi mumkin hai miyaan aankh bhigone lag jaaun
vo kahe kaise ho tum aur main rone lag jaaun
ai meri aankh mein thehraaye hue vasl ke khwaab
mein tawatur se tire saath na sone lag jaaun
mujh ko har cheez mayassar hai mohabbat mein so ab
raaegaani main tire daagh na dhone lag jaaun
itni khush-fahmi mein nuksaan na ho jaaye kahi
main koi paai hui cheez na khone lag jaaun
jaa-b-jaa bikhre hue hain mere khwaab aur khayal
main ye samaan kahi aur na dhone lag jaaun
jheel mein paanv utaare hain kisi ne ejaz
kyun na ab main bhi yahan haath dubone lag jaaun
ये भी मुमकिन है मियाँ आँख भिगोने लग जाऊँ
वो कहे कैसे हो तुम और मैं रोने लग जाऊँ
ऐ मिरी आँख में ठहराए हुए वस्ल के ख़्वाब
में तवातुर से तिरे साथ न सोने लग जाऊँ
मुझ को हर चीज़ मयस्सर है मोहब्बत में सो अब
राएगानी मैं तिरे दाग़ न धोने लग जाऊँ
इतनी ख़ुश-फ़हमी में नुक़सान न हो जाए कहीं
मैं कोई पाई हुई चीज़ न खोने लग जाऊँ
जा-ब-जा बिखरे हुए हैं मिरे ख़्वाब और ख़याल
मैं ये सामान कहीं और न ढोने लग जाऊँ
झील में पाँव उतारे हैं किसी ने 'एजाज़'
क्यों न अब मैं भी यहाँ हाथ डुबोने लग जाऊँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaaz tawakkal
our suggestion based on Ejaaz tawakkal
As you were reading Aankhein Shayari Shayari