hamein ye raaz sabhi ko bataana hota hai
naye ke ba'ad hi koi puraana hota hai
bila-jawaaz nahin bolta hoon der talak
ki main ne baat ko aage badhaana hota hai
yoonhi nahin meri aankhon mein ashk lehraate
ki har kisi ne mera dil dukhaana hota hai
ye munsifeen kisi ko bhi haq nahin dete
khuda ka faisla hi munsifaana hota hai
ye dasht waale miyaan hijr gungunaate hain
har ek khitte ka qaumi taraana hota hai
kisi ko de di hai tohfe mein yoosufi ki kitaab
ki ham ne kaunsa ab muskurana hota hai
hamaari baat vagarna koi nahin sunta
lihaaza shor to ham ne machaana hota hai
हमें ये राज़ सभी को बताना होता है
नए के बा'द ही कोई पुराना होता है
बिला-जवाज़ नहीं बोलता हूँ देर तलक
कि मैं ने बात को आगे बढ़ाना होता है
यूँही नहीं मिरी आँखों में अश्क लहराते
कि हर किसी ने मिरा दिल दुखाना होता है
ये मुंसिफ़ीन किसी को भी हक़ नहीं देते
ख़ुदा का फ़ैसला ही मुंसिफ़ाना होता है
ये दश्त वाले मियाँ हिज्र गुनगुनाते हैं
हर एक ख़ित्ते का क़ौमी तराना होता है
किसी को दे दी है तोहफ़े में यूसुफ़ी की किताब
कि हम ने कौनसा अब मुस्कुराना होता है
हमारी बात वगर्ना कोई नहीं सुनता
लिहाज़ा शोर तो हम ने मचाना होता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaaz tawakkal
our suggestion based on Ejaaz tawakkal
As you were reading Aansoo Shayari Shayari