hansne mein rone ki aadat kabhi aisi to na thi
teri shokhi gham-e-furqat kabhi aisi to na thi
ashk aa jaayen to palkon pe bithaaunga unhen
qatra-e-khoon tiri izzat kabhi aisi to na thi
kisht-e-gham aur bhi lehraane lagi hansne lagi
chashm-e-nam teri sharaarat kabhi aisi to na thi
kitne gham bhool gaya shukriya tera gham-e-yaar
yun mujhe teri zaroorat kabhi aisi to na thi
vo mujassam bhi jo aa jaaye to dekhoon na use
meri us but ki ibadat kabhi aisi to na thi
der tak baithe p kuchh tu ne na main ne hi kaha
jaisi tujh se hai rifaqat kabhi aisi to na thi
ek ik she'r se tapke hain lahu ke qatre
meri dushman ye tabi'at kabhi aisi to na thi
हँसने में रोने की आदत कभी ऐसी तो न थी
तेरी शोख़ी ग़म-ए-फ़ुर्क़त कभी ऐसी तो न थी
अश्क आ जाएँ तो पलकों पे बिठाऊंगा उन्हें
क़तरा-ए-ख़ूँ तिरी इज़्ज़त कभी ऐसी तो न थी
किश्त-ए-ग़म और भी लहराने लगी हँसने लगी
चश्म-ए-नम तेरी शरारत कभी ऐसी तो न थी
कितने ग़म भूल गया शुक्रिया तेरा ग़म-ए-यार
यूँ मुझे तेरी ज़रूरत कभी ऐसी तो न थी
वो मुजस्सम भी जो आ जाए तो देखूँ न उसे
मेरी उस बुत की इबादत कभी ऐसी तो न थी
देर तक बैठे प कुछ तू ने न मैं ने ही कहा
जैसी तुझ से है रिफ़ाक़त कभी ऐसी तो न थी
एक इक शे'र से टपके हैं लहू के क़तरे
मेरी दुश्मन ये तबीअ'त कभी ऐसी तो न थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Obaid
our suggestion based on Ejaz Obaid
As you were reading Friendship Shayari Shayari