tere daaman ki thi ya mast hua kis ki thi
saath mere chali aayi vo sada kis ki thi
kaun mujrim hai ki doori hai wahi pehli si
paas aa kar chale jaane ki ada kis ki thi
dil to sulga tha magar aankhon mein aansu kyun aaye
mil gai kis ko saza aur khata kis ki thi
shaam aate hi utar aaye mere gaav mein rang
jis ke ye rang the jaane vo qaba kis ki thi
ye mera dil hai ki aankhen ki sitaaron ki tarah
jalne bujhne ki sehar tak ye ada kis ki thi
chaandni raat ghane neem tale koi na tha
phir fazaaon mein vo khushboo-e-hina kis ki thi
तेरे दामन की थी या मस्त हुआ किस की थी
साथ मेरे चली आई वो सदा किस की थी
कौन मुजरिम है कि दूरी है वही पहली सी
पास आ कर चले जाने की अदा किस की थी
दिल तो सुलगा था मगर आँखों में आँसू क्यूँ आए
मिल गई किस को सज़ा और ख़ता किस की थी
शाम आते ही उतर आए मिरे गाँव में रंग
जिस के ये रंग थे जाने वो क़बा किस की थी
ये मिरा दिल है कि आँखें कि सितारों की तरह
जलने बुझने की सहर तक ये अदा किस की थी
चाँदनी रात घने नीम तले कोई न था
फिर फ़ज़ाओं में वो ख़ुशबू-ए-हिना किस की थी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ejaz Obaid
our suggestion based on Ejaz Obaid
As you were reading Qaid Shayari Shayari