theen ik sukoot se zaahir mohabbatein apni | थीं इक सुकूत से ज़ाहिर मोहब्बतें अपनी

  - Ejaz Obaid

theen ik sukoot se zaahir mohabbatein apni
ab aansuon ne bhi bakhshen inaayaten apni

ki barg-ha-e-khizaan deeda-joon udaaye hue
kashaan kashaan liye phirti hain vahshatein apni

sabhi ko shak hai ki khud ham mein bewafaai hai
kahaan kahaan na hui hain shikaayaten apni

chale jahaan se the ab aao laut jaayen wahin
nikaali raahon ne ham se adaavaten apni

kuchh aur kar degi bojhal fazaa ko khaamoshi
chalo ki shor machaayein sharaaratein apni

hamaara jo bhi taalluq tha us ke dam se tha
lo aaj khatm hui sab riqabaten apni

थीं इक सुकूत से ज़ाहिर मोहब्बतें अपनी
अब आँसुओं ने भी बख़्शें इनायतें अपनी

कि बर्ग-हा-ए-ख़िज़ाँ दीदा-जूँ उड़ाए हुए
कशाँ कशाँ लिए फिरती हैं वहशतें अपनी

सभी को शक है कि ख़ुद हम में बेवफ़ाई है
कहाँ कहाँ न हुई हैं शिकायतें अपनी

चले जहाँ से थे अब आओ लौट जाएँ वहीं
निकालीं राहों ने हम से अदावतें अपनी

कुछ और कर देगी बोझल फ़ज़ा को ख़ामोशी
चलो कि शोर मचाएँ शरारतें अपनी

हमारा जो भी तअल्लुक़ था उस के दम से था
लो आज ख़त्म हुईं सब रिक़ाबतें अपनी

  - Ejaz Obaid

Masti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Obaid

As you were reading Shayari by Ejaz Obaid

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Obaid

Similar Moods

As you were reading Masti Shayari Shayari